khali hai zehn taqat-e-guftar kya kare hai aankh band rauzan-e-diwar kya kare hum aql dil ke samne rakhte rahe wale dariya ke aage ret ki diwar kya kare ji mera ab to meri bhi sohbat se tang hai har rishta yan hai bais-e-azar kya kare har-su hai kaenat mein apne lahu ka rang ho chashm-e-dil se dur to didar kya kare kahta hun bar bar samajhta nahin koi bahra ho dil to baat pe israr kya kare juz tegh dard-e-jaan ka nahin koi shai ilaj khali hai hath dida-e-khun-bar kya kare har falsafe se shauq hai aazad sar-ba-sar iqrar kya kare yahan inkar kya kare uljhe hue hain kitne tamanna ke silsile ai khaliq-e-hayat gunahgar kya kare rah-e-nabi mein bachche jawan-pir sab gae kheme mein tanha aabid-e-bimar kya kare