dawa asar nahin rakhti dua qubul nahin ye kaise log hain jin ko khuda qubul nahin mera bhi dil nahin lagta ghane makanon mein use bhi shahr ki aab-o-hawa qubul nahin pahunch to sakta hun manzil pe aap se pahle magar main kya karun jab rasta qubul nahin ki jis se sher mein mani ka iltawa hi na ho sukhan ke bab mein wo tajraba qubul nahin main wo faqir hun jis ko dilon ke taqchon mein khuda qubul hai khauf-e-khuda qubul nahin wo husn hai use zeba tamam raaz-o-niyaz main ishq hun mujhe shikwa gila qubul nahin dil-o-dimagh pe tari hai us ka ishq 'fida' dil-o-dimagh ko duniya bhi na-qubul nahin