khali khali raston pe be-karan udasi hai jism ke tamashe mein ruh pyasi pyasi hai khwab aur tamanna ka kya hisab rakhna hai khwahishen hain sadiyon ki umr to zara si hai rah-o-rasm rakhne ke baad hum ne jaana hai wo jo aashnai thi wo to na-shanasi hai hum kisi nae din ka intizar karte hain din purane suraj ka sham basi basi hai dekh kar tumhein koi kis tarah sambhal pae sab hawas jage hain aisi bad-hawasi hai zakhm ke chhupane ko hum libas lae the shahr bhar ka kahna hai ye to khun-libasi hai