koi arman talash-e-dost ka kyun dil mein rah jata ghubar apna agar gard-e-rah-e-manzil mein rah jata nahin malum kis muddat se khanjar tishna-e-khun tha koi khatra lahu ka kyun tan-e-bismil mein rah jata safai kab thi mumkin ye ghubar-e-dil wo kafir hai mere dil se nikalta bhi to us ke dil mein rah jata jala aur jal ke soz-e-rashk se dil bujh gaya fauran agar hota charagh-o-shama us mahfil mein rah jata tassuf hai ghubar-e-qais ki parwaz-e-hasrat par lipat kar kash thoda parda-e-mahmil mein rah jata na deta gar sahaara kuchh umid-e-wasl ka tufan shanawar bahr-e-gham ka hasrat-e-sahil mein rah jata is aaine mein gar wo dekh lete ru-e-anwar ko to kyun itna bada dhabba mah-e-kaamil mein rah jata na milta muddaa-e-dil diram milta jo munim se magar ek dagh ban kar wo kaf-e-sail mein rah jata nishan us ka kahin milta suragh us ka kahin lagta to apna panw kyun thak kar rah-e-manzil mein rah jata 'nazar' hum ko ilaqa sher se kya par ye hasrat hai na rahte hum to apna zikr us mahfil mein rah jata