khabar bekas ki ranj-o-sadma-o-alam lete hain musibat mein yahi ahbab daman tham lete hain shahidan-e-jafa ki maut par matam ka kya mauqa ye zindan-e-bala se chhut ke ab aaram lete hain ghazab ka ruh-afza did ke qabil hai wo manzar tere hathon se saqi jis ghadi hum jam lete hain abas sauda nahin sar mein hamare zulf-e-jaanan ka dil-e-wahshi ki khatir mol hum ye dam lete hain nigah-e-shauq se matlab bayan kar dete hain apna hum in aankhon hi se apne labon ka kaam lete hain wafa tere qatilon ki hai qatil dad ke qabil ajal hi ka khuda ke samne bas nam lete hain khuda jaane ki ab karte hain hangame bapa kya kya kisi ke hath se jam aaj dard-asham lete hain ghalat hai ye ki un ka dil mubarra hai tassur se wo sun kar mera afsana kaleja tham lete hain mera maqtul hona taziyana hai raqibon ko koi ulfat jatata hai to mera nam lete hain ye hai zauq-e-giraftari ki chhut kar qaid se 'bedil' dil-o-jaan bech kar sayyaad se hum dam lete hain