kyon kaha pas tere aaina-e-dil na rahe

kyon kaha pas tere aaina-e-dil na rahe
kya ye khwahish hai koi tera muqabil na rahe

talib-e-dard ko matlub hai saman-e-tapish
nashtar-e-gham rahe pahlu mein agar dil na rahe

un ki ye zid hai nirali ki mere sine mein
dil-e-warafta rahe aarzu-e-dil na rahe

hath bismil ne badhaya hai lipat jaane ko
ki kafan ban ke rahe daman-e-qatil na rahe

rahraw-e-rah-e-mohabbat ko hidayat ye hai
jada-paimai rahe hasrat-e-manzil na rahe

khana-e-dil mein utarne ka ye matlab thahra
mehman ban ke rahe khanjar-e-qatil na rahe

qatl-e-ushshaq se qatil ka ye matlab to nahin
ghayat-e-ishq-o-wafa uqda-e-mushkil na rahe

de ke jaan is liye leta hun sukun-e-khatir
daimi ban ke rahe daulat-e-ajil na rahe

kyon khafa hote ho diwanon ki khwahish ye hai
naghma-e-ishq bane shor-e-salasil na rahe

nazr-e-gham is liye ki jaan-e-hazin 'bedil' ne
us ki gardan pe kahin minnat-e-qatil na rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close