khabar bhi hai ye khirad aag ke putle junun ke zer-e-asar rahe hain saron pe suraj uthane wale khud apne sae se dar rahe hain sukun se marte hain marne wale jinhen ujalon ki hai tamanna yahi bahut hai ki su-e-maqtal charagh-e-sham-o-sahar rahe hain unhen bharosa do zindagi ka jinhen mohabbat hai zindagi se ajal ke hum naqsh-e-pa pe chal kar fana ki had se guzar rahe hain rah-e-wafa mein jo badh chuke hain wo panw pichhe na hat sakenge tum apne hadd-e-sitam se guzro hamein jo karna hai kar rahe hain bajae zahrab kis ne saqi bhare hain amrit se jam-o-saghar ki log aab-e-hayat pi kar qaza se pahle hi mar rahe hain