moajiza wo jo masiha ka dikhate jate kah ke qum qabr se murde ko jilate jate marte dam bagh-e-madina ka nazara karte dekh lete chaman-e-khuld ko jate jate dekh kar nur-e-tajalli ko tere diwane dhajjiyan daman-e-mahshar ki udate jate ban ke parwana meri ruh nikalti tan se lau jo is shama-e-tajalli se lagate jate ek nazar dekhte hi ru-e-mohammad ki ziya ghash pe ghash hazrat-e-yusuf ko hain aate jate hai wo sahra-e-junun aap ke diwanon ka hazrat-e-khizr jahan thokaren khate jate aisa mahbub hua kaun ki ummat ke liye ruthte aap to allah manate jate tur pe hazrat-e-musa na kabhi jal-bujhte aap aankhon mein jo surma na lagate jate saf-e-mehshar mein ilahi ba-huzur-e-sarwar nat padh padh ke ye shohrat ki manate jate