khabar kahan thi mujhe pahle is khazane ki ghamon ne rah dikhai sharab-khane ki charagh-e-dil ne ki hasrat jo muskurane ki to khilkhila ke hansin aandhiyan zamane ki main shairi ka hunar jaanta nahin be-shak ajib dhun hai mujhe qafiya milane ki wajud apna mitaya kisi ki chahat mein bas itni ram-kahani hai is diwane ki wo ghonsla bhi bana lega baad mein apna abhi hai fikr parinde ko aab-o-dane ki main ashk ban ke gira hun khud apni nazron se kahan milegi jagah mujh ko sar chhupane ki anath bachchon ki aahen sawal karti hain khuda ko kya thi zarurat jahan banane ki