khabar kuchh aisi udai kisi ne ganw mein udas phirte hain hum bairiyon ki chhanw mein nazar nazar se nikalti hai dard ki tisen qadam qadam pe wo kante chubhe hain panw mein har ek samt se ud ud ke ret aati hai abhi hai zor wahi dasht ki hawaon mein ghamon ki bhid mein ummid ka wo aalam hai ki jaise ek sakhi ho kai gadaon mein abhi hai gosh bar-awaz ghar ka sannata abhi koshish hai badi dur ki sadaon mein chale to hain kisi aahat ka aasra le kar bhatak na jaen kahin ajnabi fazaon mein dhuan dhuan si hai kheton ki chandni 'baqi' ki aag shahr ki ab aa gai hai ganw mein