ashk-e-rawan ki nahr hai aur hum hain dosto us bewafa ka shahr hai aur hum hain dosto ye ajnabi si manzilen aur raftagan ki yaad tanhaiyon ka zahr hai aur hum hain dosto lai hai ab uda ke gae mausamon ki bas barkha ki rut ka qahr hai aur hum hain dosto phirte hain misl-e-mauj-e-hua shahr shahr mein aawargi ki lahr hai aur hum hain dosto sham-e-alam dhali to chali dard ki hawa raaton ki pichhla pahr hai aur hum hain dosto aankhon mein ud rahi hai luti mahfilon ki dhul ibrat-sara-e-dahr hai aur hum hain dosto