khabar nahin ki safar hai ki hai qayam abhi tilism-e-shahr mein khoe hain khas-o-am abhi sada bhi dega kabhi to sukut ka sahra kisi ko hone to do khud se ham-kalam abhi jo dekhiye to zamana hai tez-rau kitna tulu-e-subh abhi hai to waqt-e-sham abhi wo qaht-e-ab hai dariya bhi sare khushk hue rawan jo abr hai karta nahin qayam abhi ab ittifaq se bach kar nikal gae to kya rah-e-talab mein to 'nadir' hain kitne dam abhi