aziz itna tera rang-o-bu lage hai mujhe koi qarib se guzre to tu lage hai mujhe safar khayal ka main kis tarah tamam karun teri har ek ada chaar-su lage hai mujhe zarur koi ajab shai hai tujh mein poshida ki tera zikr bhi ab ku-ba-ku lage hai mujhe main aasman ki jaanib bhi dekhta hun magar jo mera chand hai wo khub-ru lage hai mujhe main apni zat mein tujh ko talash karta hun bahut hi sahl teri justuju lage hai mujhe hai ye bhi ek fusun-e-nigah ai 'rizwan' nahin wo pas magar ru-ba-ru lage hai mujhe