khabar nahin ki zamin hain ki aasman hain hum khabar nahin ki bhanwar hain ki baadban hain hum na zad-e-rah na himmat na manzil-e-maqsud na jaane kaunsi manzil ke karwan hain hum chaman mein rah ke bhi rang-e-chaman se hain mahrum bahaar hain ki khizan hain ki gulsitan hain hum pila sharab utha saz-e-dil ke tar hila abhi shabab ke din hain abhi jawan hain hum kashakash-e-gham-e-hasti se gar mile fursat jahan ko hum bhi dikha denge ba-zaban hain hum jahan ko apni nazar se gira diya hum ne khud apne haal mein poshida ek jahan hain hum hamein na hasrat-e-duniya na hasrat-e-uqba khud apne panw ke mitte hue nishan hain hum