kis ko khoya hai kis ko paya hai barha ye khayal aaya hai zindagi ki karahaton par bhi hum ko aaya to pyar aaya hai lutf marne mein hai na jine mein mod aisa bhi ek aaya hai wada kar wada kuchh to baat bane kis ne wada bhala nibhaya hai aag apni ho ya parai ho apne ashkon se khud bujhaya hai zindagi ki siyah raaton ko teri yaadon se jagmagaya hai bojh uthta nahin hai kya kahiye hum ne sau sau tarah uthaya hai karwan hai na karwan ka ghubar khizr ne gul ye kya khilaya hai hum ne 'hasrat' sukun ki khatir dushmanon ko gale lagaya hai