khabt-e-azmat mein giraftar nahin bhi hote log kuchh bais-e-azar nahin bhi hote pas-e-bazar bhi bik jate hain bikne wale kitne saude sar-e-bazar nahin bhi hote yun bhi hota hai kisi pal ki mozahim haalat rah de dete hain diwar nahin bhi hote ek tamasha sa ba-har-haal laga rahta hai manzar-e-am pe kirdar nahin bhi hote bar to hote hain duniya ke jhamele aksar waise kuchh bar giran-bar nahin bhi hote parsai bhi kahin dhong hua karti hai kuchh gunahgar gunahgar nahin bhi hote