dil ka dilbar jab se dil ki dhadkan hone wala hai suna suna mera aangan gulshan hone wala hai us ki aankhon mein bhi har dam aks mera hi rahta hai ab to mera chehra us ka darpan hone wala hai naz karun ya fakhr karun main sab kuchh hai lazim mujh ko rafta rafta dil mein us ka maskan hone wala hai pyar ke jazbe us ke dil mein jage hain aur jagenge meri qismat ka bhi tara raushan hone wala hai us se mil kar dil ka jangal bhig raha hai us ke aise sawan se bhi pahle jaise sawan hone wala hai dekh ke us ki sundarta ko sab sundar ho jate hain us ki gali ka har ek chehra kundan hone wala hai us ki mohabbat ke sadqe mein us ki mohak chahat mein ab to 'ziya' ka bhag yaqinan raushan hone wala hai