khadd-o-khal se khali hai ye taswir to jali hai kahte hain marg-e-mufajat hukm-e-janab-e-ali hai lashkar-e-ishaal-zada ki main ne kaman sambhaali hai duniya ki aawaz suno ek hi hath ki tali hai har ek insan ke andar baitha ek mawali hai amla moattal hai dil ka jari sai-e-bahaali hai qimat alag hai khaslat ek ye gandum wo shaali hai sher ki jast ko kafi bas mast hiran ki jugali hai mat phatko mujh dil ke pas ye darwesh jalali hai 'shafaq'! ab apne bare mein kya afwah uda li hai