teri barq-pash-nigah se tere hashr-khez-khiram se ba-sukun-e-qalb guzar gaya main har ek aise maqam se meri zindagi ke ye marhale hama-ittiqa hama-bandagi mujhe kaif un ki nazar se hai koi wasta nahin jam se wo laja gae wo jhijhak gae wo thahar gae kisi soch mein sar-e-rah kisi ne jo dafatan unhen di sada mere nam se main hun sham-e-mahfil-e-jawedan meri zindagi nahin mukhtasar main charagh-e-rahguzar nahin jo bujha bujha sa ho sham se wo lihaz-e-pir-e-mughan nahin wo mazaq-e-baada-kashi kahan hamein phir ata ho mai-e-kuhan nae daur mein nae jam se tera zikr sun ke tadap utha tera nam le ke main ro diya mujhe ek nisbat-e-khas hai tere zikr se tere nam se na raha 'mushir' hi tishna-lab sar-e-bazm saqi-e-be-khabar koi baada-kash nahin mutmain tere mai-kade ke nizam se