khaDe hain musa uThao parda dikhao tum aab-o-tab-e-ariz

khade hain musa uthao parda dikhao tum aab-o-tab-e-ariz
hijab kyun hai ki khud tajalli bani hui hai hijab-e-ariz

na ruk sakegi ziya-e-ariz jo sadd-e-rah ho naqab-e-ariz
wo hogi be-parda rakh ke parda ghazab ki chanchal hai tab-e-ariz

chhupa na munh donon hath se yun tadapti hai barq-e-tab-e-ariz
laga na de aag ungliyon mein ye garmi-e-iztirab-e-ariz

jo un ko lipta ke gal chuma haya se aane laga pasina
hui hai boson ki garm bhatti khinche na kyun kar sharab-e-ariz

pari jo dekhe kahe tadap kar jo hur dekhe kahe phadak kar
tumhaara gesu jawab-e-gesu tumhaara aariz jawab-e-ariz

huzur ghunghat utha ke aaen badi chamak kis mein hai dikhaen
idhar rahe aaftab-e-mahshar udhar rahe aaftab-e-ariz

chhupana kya ek ka tha manzur aaj tak hain jo chaar mashhur
zabur tauret mushaf injil panchwin hai kitab-e-ariz

na kyun ho dawa barabari ka wahan mila til yahan suwaida
ye nuqta-e-intikhab-e-ariz hai wo nuqta-e-intikhab-e-ariz

pada hun ghash mein mujhe sungha do pasina chehre ka zulf ki bu
nahin hai kam lakhlakhe se mujh ko ye mushk-e-gesu gulab-e-ariz

jo shoala-ru munh chhupa ke nikla dhuan sar-e-rah kuchh kuchh uttha
lagi wo aatish bane hai jal kar naqab-e-ariz kabab-e-ariz

na jhepo subh-e-visal dekho tum aankh se aankh to milao
liye hain gin gin ke main ne bose zaban par hai hisab-e-ariz

karo na ghusse se lal chehra bhawon mein dalo na bal khudara
nahin majal-e-jalal-e-abru nahin hai tab-e-itab-e-ariz

jo gal par gal hum rakhenge shab-e-visal un ke hath uthenge
tamanche marenge pyar se wo bajengge chang-o-rubab-e-ariz

kamar ko gardan ko dast-o-lab ko visal mein lutf de raha hai
shabab-e-zanu shabab-e-bazu shabab-e-sina shabab-e-ariz

janab-e-'mail' ye kudak-e-dil buton ki ulfat mein hoga kaamil
padhao quran ke badle is ko bayaz-e-gardan kitab-e-ariz


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close