apni sada ki gunj hi tujh ko dara na de ai dil tilism-e-gumbad-e-shab mein sada na de diwar-e-khastagi hun mujhe hath mat laga main gir padunga dekh mujhe aasra na de gul kar na de charagh-e-wafa hijr ki hawa tul-e-shab-e-alam mujhe patthar bana na de hum sab asir-e-dasht-e-huwaida hain dosto hum mein koi kisi ko kisi ka pata na de sab mahw-e-naqsh-e-parda-e-rangin to hain magar koi sitam-zarif ye parda hata na de ek zindagi-gazida se ye dushmani na kar ai dost mujh ko umr-e-abad ki dua na de darta hun aaina hun kahin tut hi na jaun ek lau si hun charagh ki koi bujha na de han mujh pe faiz-e-'mir'-o-'firaq'-o-'nadim' hai lekin tu ham-sukhan mujhe itni hawa na de