khadi hai raat andheron ka azhdaham lagae aur ek raushni baithi hai apna kaam lagae ye kam nahin ki kharida usi pari ne hamein agarche us ne bahut kam hamare dam lagae main aaftab-zada hun kahan hai zulf us ki ki aae aur meri aankhon pe apni sham lagae main aaya kaam kiya apna aur chal bhi diya zamana baitha raha apna tam-jham lagae na jaane kitne zamanon ki muntazir aankhen rah-e-umid pe baithi hui hain jam lagae chaman mein us ne lagae hamare nam ke phul to hum ne safha-e-hasti pe us ke nam lagae magar main chhut gaya mere zor-e-dasht ki khair tamam shahr raha qufl-e-intizam lagae hamari bari ab aani hai kuza-gar se kaho ki rang shokh kare khub khak kham lagae mulazmat jo mili daftar-e-fana mein mili phire the hum jo bahut arzi-e-dawam lagae bana hai shahr ka sarmaya-kar yun 'ehsas' ki ek halal lagane mein sau haram lagae