labon pe aa ke rah gain shikayaten kabhi kabhi tere huzur pad gain ye uljhanen kabhi kabhi bas ek bisat-e-arzu bikhar gai to kya hua ujad gai hain mahfilon ki mahfilen kabhi kabhi hazar bar husn khud hi nadim-e-jafa hua agarche ishq ne bhi kin shikayaten kabhi kabhi kabhi kabhi teri nazar ka aasra bhi mil gaya simat ke rah gain hain gham ki wusaten kabhi kabhi thin donon samt khwahishen ye faisla na ho saka bhadak uthen hum ek sath ya jalen kabhi kabhi