khadi hai sham ki khwab-e-safar ruka hua hai yaqin kyun nahin aata agar ruka hua hai guzarne wale the jo bhi guzar gae lekin miyan-e-rah koi be-khabar ruka hua hai baras raha hai na chhatta hai ye kai din se jo ek abr meri khak par ruka hua hai rawan bhi silsial-e-ashk hai abhi kuchh kuchh ye qafila jo kahin besh-tar ruka hua hai abhi nikal nahin sakta gharon se koi yahan ki sail-e-ab abhi dar-ba-dar ruka hua hai har ek shai hai kisi rakh mein badalne ko kahin jo khana-e-khas mein sharar ruka hua hai chali hui thi meri baat jitne zoron se usi hisab se is ka asar ruka hua hai pahunch sake kisi manzil pe kya musafir-e-dil ki chal raha hai ba-zahir magar ruka hua hai ye harf o saut karishme hain sab usi ke 'zafar' lahu ke sath ragon mein jo dar ruka hua hai