waqt bas rengta hai umr ke sath tara tara gina hai umr ke sath kitna aasan sa talluq tha kitna mushkil hua hai umr ke sath phir safar nam hai aziyyat ka rasta hanpta hai umr ke sath kis ki aankhon ko nind chubhti hai kaun jaga raha hai umr ke sath jaane aaram aaega kab tak dard badhne laga hai umr ke sath ek gunah tha chhupae rakkha tha samne aa gaya hai umr ke sath zindagi zindagi nahin lagti koi dhoka hua hai umr ke sath subh-e-kazib se sham-e-sadiq tak ek mahshar bapa hai umr ke sath kaisa chehra hai raat ki tafsil kaun jal kar bujha hai umr ke sath gard-e-mazi hai wasl ka hasil qafila hijr ka hai umr ke sath