KHafa sayyaad-o-gulchin aur muKhaalif baghban humse

khafa sayyaad-o-gulchin aur mukhalif baghban hum se
chhutega ek na ek din ye chaman ye aashiyan hum se

chhudaya kis tarah se baghban ne aashiyan hum se
ilahi koi sun leta hamari dastan hum se

bayan kya khak ho sayyaad haal-e-gulistan hum se
raha aabaad hi kai din hamara aashiyan hum se

kaleja apna apna tham len ahbab mahfil mein
agar sunne ko baithe hain hamari dastan hum se

khamoshi mein kahi jis tarah lauh-e-qabr ne 'wasif'
bayan us lutf se hoti na apni dastan hum se

unhen kya ilm tha afsana-e-dard-o-alam hoga
bahut pachhtae wo sun kar hamari dastan hum se

rahi mohr-e-dahan fikr-e-maishat umr bhar 'wasif'
wagarna kam nikalte dahr mein jadu-bayan hum se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close