kyunkar rakhun aziz na tir-e-nazar ko main rakhta hun dost lazzat-e-dard-e-jigar ko main aata hai ye khayal ki wo bad-guman na ho kya zakhm-e-dil dikhaun bhala chaara-gar ko main hasti mein to pata na chala kya hun kaun hun jata hun ab adam mein khud apni khabar ko main dil lut gaya mera na hui kuchh khabar mujhe batlaun kis zaban se nigah ke asar ko main ghaalib nahin chalun jo har ek tez-ro ke sath pahchanta hun apne har ek rahbar ko main meri tarah hai ye bhi koi dam ki mehman kyunkar na roun dekh ke sham-e-sahar ko main