khafa us se kyun tu meri jaan hai 'asar' to koi dam ka mehman hai tere ahd mein sakht andher hai ki ishq o hawas har do yaksan hai kahun kya khuda jaanta hai sanam mohabbat teri apna iman hai dil-o-gham mein aur sina-o-dagh mein rifaqat ka yan ahd-o-paiman hai tujhe bhi kabhu kuchh mera hai khayal mujhe marte marte tera dhyan hai na dekha phir aakhir ki mushkil padi udhar dekhna aisa aasan hai qayamat yahi hai ki abru kaman tujhe jin ne dekha so qurban hai gulon ki tarah chaak ka ai bahaar muhayya har ek yan gareban hai bhala did kar lijiye muft hai ki ab tak sitamgar wo anjaan hai mujhe qatl karte to unen kya par apne kiye par pasheman hai nahin hai ye qatil taghaful ka waqt khabar le ki baqi abhi jaan hai tammul kahan warna chun ghuncha yan jo sar hai so gharq-e-gareban hai ye kya ho gaya dekhte dekhte 'asar' main to main wo bhi hairan hai