mera ye zakhm sine ka kahin bharta hai sine se lagae ai sanam jab tak na tu sine ko sine se falak ne shadman dekha jise aaya usi ke sar khuda mahfuz har insan ko rakkhe is kamine se jo le jate hain dil mera bachana thes se us ko wo hai ai sang-dil nazuk zyaada aabgine se na hogi dur ghash meri gulab-o-mushk-o-ambar se mere rukh ko tu dho ai gul-badan apne pasine se kahin ye saf hota hai kudurat aur kine se agar zakhm-e-jigar mil bhi gaya dushman ke sine se dil ek dahne raha gar dusra daim raha baen na do baham hue dil go mila sina bhi sine se koi ranj-o-alam aae na dil ke pas ai saqi jo ho aaghaz-e-mai-noshi moharram ke mahine se tu chahe dusron ko aur hum marte phiren tujh par hamare waste marna hai behtar aise jine se samajhna chahiye kine se sina hai bhara us ka kiya hai 'mashriqi' inkar jis ne mai ke pine se