KHafi lafzon se likkhi dard ki tahrir hoti hai

khafi lafzon se likkhi dard ki tahrir hoti hai
ye aurat har tarah se mard ki jagir hoti hai

wo jis ki aankh mein mahrumiyan basti hain sadiyon se
wo khud kitne hi rishton ki magar zanjir hoti hai

jakad rakkha hai jis ke dil ko an-dekhe azabon ne
wo har ek khwab ki kaisi hasin tabir hoti hai

junun-e-ishq ki sarhad pe jaan se jo guzar jae
wahi sassi wahi sohni wahi to hir hoti hai

nikal kar khuld se bhi to zamin koi nahin us ki
zamin-zadi ki bhi dekho ajab taqdir hoti hai

na ho jab chand aanchal mein na suraj dil ki basti ka
tan-e-murda sanbhaale wo badi dil-gir hoti hai

jo din bhar jang ladti hai masaib aur masail se
'shafaq' phir sham ko hai rang si taswir hoti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close