kirchi kirchi man ke andar sare KHwab chhupae hain

kirchi kirchi man ke andar sare khwab chhupae hain
sach ki khatir dekho hum ne kya kya dard uthae hain

sach ka parcham le kar nikli jhuton ki is basti mein
zakhmi zakhmi jism hai mera patthar kaise khae hain

tapte jalte patthar jaise log yahan bazaron mein
har-su chhaya sannata hai yas ke gahre sae hain

chup ki gahri ghaton mein shorida kuchh aawazen hain
basti basti sahra sahra kaise tufan chhae hain

kaise koi baat kare ab taziren hain sochon par
amn ko yun mahkum kiya hakim ne lab silwae hain

jhut dagha ilzam-tarashi jin ka shewa aam hua
hirs-zada sochon ke hamil andar se ghabrae hain

'shafaq' abhi se chhod gai dil kya tujh ko malum bhi hai
rah-e-haqiqat mein kis kis ne apne sar katwae hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close