khair ka tujh ko yaqin hai aur us ko shar ka hai donon haq par hain ki jhagda sirf pas-manzar ka hai aansuon se tu hai khali dard se aari hun main teri aankhen kanch ki hain mera dil patthar ka hai kaun dafnata use wo ek barahana lash thi sab ne puchha kaun hai wo kaun se lashkar ka hai tu sukun se thak gaya hai aur betabi se main shauq hai tujh ko safar ka aur mujh ko ghar ka hai ek pauda sehn mein tha dhup kha kar jal gaya sirf mera hi nahin hai ranj ye ghar bhar ka hai sochta rahta hun main teri udanen dekh kar ye hawa ka zor hai ya tere baal-o-par ka hai ek budhe ne kiya asr-e-rawan pe tabsira ye zamana aadmi ka hai ki zor-o-zar ka hai main ne sincha hai lahu se is dil-e-sar-sabz ko umr bhar se ye ilaqa meri chashm-e-tar ka hai main simat kar letta hun bistar-e-idrak par panw phailaun to andesha mujhe chadar ka hai is masafat ka mudawa tujh se bhi mumkin nahin zakhm-e-dil se kuchh ziyaada zakhm mere sar ka hai ek tabib-e-admiyat ne kaha hai saf saf zahr duniya ki ragon mein sab fasad-e-zar ka hai dekh kar insan ko kahti hai sari kaenat ye to hum mein se nahin hai ye koi bahar ka hai sari kadiyan tod din main ne mohabbat ke siwa kaun todega ise ye jabr to andar ka hai