tir par tir lagao tumhein dar kis ka hai sina kis ka hai meri jaan jigar kis ka hai khauf-e-mizan-e-qayamat nahin mujh ko ai dost tu agar hai mere palle mein to dar kis ka hai koi aata hai adam se to koi jata hai sakht donon mein khuda jaane safar kis ka hai chhup raha hai qafas-e-tan mein jo har tair-e-dil aankh khole hue shahin-e-nazar kis ka hai nam-e-shair na sahi sher ka mazmun ho khub phal se matlab hamein kya kaam shajar kis ka hai said karne se jo hai tair-e-dil ke munkir ai kaman-dar tere tir mein par kis ka hai meri hairat ka shab-e-wasl ye bais hai 'amir' sar ba-zanu hun ki zanu pe ye sar kis ka hai