KHair mangi jo aashiyane ki

khair mangi jo aashiyane ki
aandhiyan hans padin zamane ki

mere gham ko samajh saka na koi
mujh ko aadat hai muskurane ki

dil sa ghar dha diya to kis munh se
baat karte ho ghar basane ki

husn ki baat ishq ke qisse
baat karte ho kis zamane ki

dil hi qabu mein ab nahin mera
ye qayamat teri ada ne ki

kuchh to tufan ki zad mein hum aae
kuchh nawazish bhi na-khuda ne ki

mujh ko tum yaad aur bhi aae
koshishen jitni ki bhulane ki

wo hi 'naushad' fan ka shaidai
baat karte ho kis diwane ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close