khud mit ke mohabbat ki taswir banai hai ek shama jalai hai ek shama bujhai hai aaghaz-e-shab-e-gham hai kyun sone lage tare shayad meri aankhon se kuchh nind churai hai main khud bhi tapish jis ki sahte hue darta hun aksar mere naghmon ne wo aag lagai hai jab yaad tum aate ho mahsus ye hota hai shishe mein pari jaise koi utar aai hai har-chand samajhta tha jhute hain tere wade lekin tere wadon ne kya rah dikhai hai jo kuchh bhi samajh le ab marzi hai zamane ki shishe ki kahani hai patthar ne sunai hai mana ki mohabbat hi buniyaad hai hasti ki 'naushad' magar tujh ko ye ras kab aai hai