khairaat sirf itni mili hai hayat se pani ki bund jaise ata ho furaat se shabnam isi junun mein azal se hai sina-kub khurshid kis maqam pe milta hai raat se nagah ishq waqt se aage nikal gaya andaza kar rahi hai khirad waqiat se su-e-adab na thahre to den koi mashwara hum mutmain nahin hain teri kaenat se sakit rahen to hum hi thaharte hain ba-qusur bolen to baat badhti hai chhoti si baat se aasan-pasandiyon se ijazat talab karo rasta bhara hua hai 'adam' mushkilat se