bikte hain shahr mein gul-e-be-khar har taraf hai baghban ki garmi-e-bazar har taraf kya fasl-e-gul phir aai jo karte hain zamzama dam-e-qafas mein murgh-e-giraftar har taraf kothe pe us ke phenkun main kis rah se kamand kam-bakht pasban to hain bedar har taraf tode jahan the us ke shahidon ki khak ke tir us ne mare naz se do-chaar har taraf jab us ki barq-e-husn se parda hua hai wa zae hue hain talib-e-didar har taraf aashiq ko us gali se nikalen the jab ba-zor padti thi chashm-e-hasrat-e-didar har taraf dawat hai kis ki bazm-e-falak mein jo kab se hain aankhen lagae rakhna-e-diwar har taraf sabit bacha na kafir o din-dar tak koi tegh-e-nigah ne us ki kiye war har taraf saude mein justuju ke teri ai mata-e-husn sar marte phiren hain kharidar har taraf parwaz ka jo shauq hai bulbul ke musht par kunj-e-qafas mein udte hain na-chaar har taraf hairan hun main ki kis ka ye kucha hai jis ke bich tukde hue pade hain tarah-dar har taraf ghaugha hai sharq o gharb o junub o shumal mein fitne jaga gai teri raftar har taraf go main hua muqim to kya dar hai 'mushafi' sair o safar mein hain mere ashaar har taraf