khak dekhi hai shafaq-zar falak dekha hai zarf bhar teri tamanna mein bhatak dekha hai aisa lagta hai koi dekh raha hai mujh ko lakh is wahm ko sochon se jhatak dekha hai qudrat-e-zabt bhi logon ko dikhai hum ne surat-e-ashk bhi aankhon se chhalak dekha hai jaane tum kaun se manzar mein chhupe baithe ho meri aankhon ne bahut dur talak dekha hai raat ka khauf nahin ghatta andhera to kuja sab tarah-dar sitaron ne chamak dekha hai ek muddat se use dekh raha hun 'ahmad' aur lagta hai abhi ek jhalak dekha hai