ghata zulfon ki jab se aur kali hoti jati hai rukh-e-raushan ki tabani misali hoti jati hai mere bakht-e-siyah ke hashiye par raushni si hai meri tarik shab kuchh phir ujali hoti jati hai uthe jate hain dida-war sabhi aahista aahista ye duniya mo'tabar logon se khali hoti jati hai wo meri anjuman par rang barsate hain kuchh aisa ki har goshe ki ek ek shai nirali hoti jati hai wo jinsiyyat-zada mahaul mein kya aur paega jahan pakizgi ek shai khayali hoti jati hai 'atiq' us dilruba ki har ada bar-haq sahi lekin tumhaari koshish-e-paiham bhi aali hoti jati hai