khak ho jaana hai ek din kise inkar kabhi zindagi phir bhi nahin mujib-e-azar kabhi waqt ki qaid se hai mawara fan ki duniya mujh ko marne nahin denge mere ashaar kabhi chain se jine ki taufiq jise mil jae kab wo padhta hai miyan bhule se akhbar kabhi ab to bas udti hain aamal-e-khirad ki chilen ab kisi sar pe latakti nahin talwar kabhi justuju-kesh junun ke liye ai shaikh-e-haram chahta kya hai khuda kab hai ye asrar kabhi do alag chizen hain tamir ki taqsim 'asim' ek si uthti nahin donon ki diwar kabhi