KHak hoti hui tamir se Dar jate hain

khak hoti hui tamir se dar jate hain
hum badalti hui taswir se dar jate hain

raat ko chain se sote hain magar waqt-e-sahar
khwab ke wada-e-tabir se dar jate hain

wo siyahi se likhi hoti hai khun se to nahin
phir bhi kyun aap ki tahrir se dar jate hain

dhundte phirte hain sadkon pe ujale lekin
ghar mein aati hui tanwir se dar jate hain

aap to nahr kinare pe kiye hain qabza
aap kyun pyas ke ek tir se dar jate hain

raqs karte hue mahlon ki fasilon pe charagh
aap ki di hui tauqir se dar jate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close