kisi ke dida-e-tar ko nazar mein rakhte hain safar mein khud ko magar dil ko ghar mein rakhte hain palatna padta hai har sham un parindon ko na jaane kaun si shai ko shajar mein rakhte hain khuli fazaon ki wusat wo kaise samjhenge jo qaid khwab ko diwar-o-dar mein rakhte hain pukarte hain unhen un ke ghar ke sannate wo apne-ap ko kyun rahguzar mein rakhte hain khulus rakhte hain lekin jhuka nahin karte ana ka rang bhi thoda hunar mein rakhte hain