khak ke putlon mein patthar ke badan ko wasta is sanam-khane mein sari umr mujh se hi pada jab safar ki dhup mein murjha ke hum do pal ruke ek tanha ped tha meri tarah jalta hua jangalon mein ghumte phirte hain shahron ke faqih kya darakhton se bhi chhin jaega aalam wajd ka narm-rau pani mein pahron tiktiki bandhe hue ek chehra dekhta tha bolta sa aaina ye siyahi khun mein ek roz mil jaegi jab chaudhwin ka chand kamre mein utar aae to kya