thakawaton se baith ke safar utariye kahin bala se garm ret ho agar na mil sake zamin kaho to is libas mein tumhaare sath main chalun ghubar odh lunga main badan pe aaj kuchh nahin baton ka ghol ab yahan utar ke pa sakega kya khade ho tum jahan pe ab wo narm jhil thi nahin khule hue makan mein ada bhi teri khub hai zaban se qufl ki talab kalid zer-e-astin tamam umr pa-ba-gil na jangalon se mil saka darakht zard haal sa jo ab bhi hai khada yahin wo rang ka hujum sa wo khushbuon ki bhid si wo lafz lafz se jawan wo harf harf se hasin abhi bhi is makan mein palang takht mez hai gae jo sair ke liye to phir na aa sake makin