khak mein milna tha aakhir be-nishan hona hi tha jalne wale ke muqaddar mein dhuan hona hi tha hum na kahte the ki dide phut jaenge tere raat din rone se aankhon ka ziyan hona hi tha harf-e-sakit ban gaya taqtia se kharij hua is ghazal ki bazm se mujh ko nihan hona hi tha kya hua jo bhul baithe hain sabhi qari mujhe ek na ek din mujh ko bhuli dastan hona hi tha dhaar par chalna tha mujh ko kudna tha aag mein zindagi mein ek din ye imtihan hona hi tha rui ban kar ud gae parbat zamin hai zer-e-ab ye karishma bhi to zer-e-asman hona hi tha sabr kar 'hasrat' na ro ujde chaman ko dekh kar didani manzar ko aankhon se nihan hona hi tha