sulagti sham ki dahliz par jalta diya rakhna hamari yaad ka khwabon se apne silsila rakhna sada ban kar ghata ban kar faza ban kar saba ban kar na jaane kab main aa jaun daricha tum khula rakhna inhin rahon se lautungi na aaun ye bhi mumkin hai magar tum ret par mahfuz apne naqsh-e-pa rakhna na padh le koi tahriren tumhaare zard chehre ki dar-o-diwar ghar ke shokh rangon se saja rakhna jo bahnen muflisi se bhaiyon par bojh banti hain wo mar jaen to un ke hath mein shakh-e-hina rakhna