khak par khak ki dheriyan rah gain aadmi uth gae nekiyan rah gain kis ki talim ka aakhiri sal tha chudiyan bik gain baaliyan rah gain ishq ek rup tha husn ki dhup ka yaad kyun dhup ki sakhtiyan rah gain khun mein ghul gain sanwli qurbaten tan mein tapti hui haddiyan rah gain dard angur ki bel the phal gae gham-kashon ke liye talkhiyan rah gain arsa-e-fisq mein qismat-e-ishq mein hikmat-amez paspaiyan rah gain qumqumon ki tarah qahqahe jal bujhe mez par chae ki pyaliyan rah gain us bulandi pe hum ne padaw kiya jis ke aage faqat pastiyan rah gain husn ke hath se aaina gir pada farsh-e-pindar par kirchiyan rah gain hum ne kaghaz ko bhi aaina kar diya lekin apni siyah-bakhtiyan rah gain