tu jawan ab koi kaam ka na raha is mein kuchh jazba-e-irtiqa na raha ye fasana nahin ye haqiqat hai sun mera ho ke sanam tu mera na raha har taraf shor hai ab gulistan mein shakh par koi patta hara na raha ishq mein tere jab bewafai mili tujh se milne ka ab aasra na raha husn-e-yusuf pe jis ki nigahen padin misr mein koi bhi parsa na raha teri chahat ne itne kiye hain sitam zakhm sahne ka bhi hausla na raha kis tarah pita 'sajid' sharab-e-wafa is mein kuchh aaj jab zaiqa na raha