khak sahra mein udati hai ye diwani hawa aur bahaaron mein karegi chaak-damani hawa ped ukhde ghar gire aandhi chali chhappar ude chal padi jis waqt aabaadi mein diwani hawa garmiyon mein muztarib the log pani ke liye baadalon ko kar gai barsat mein pani hawa yun hua mahsus patton ke khadakne se mujhe chupke chupke karti hai auraq-gardani hawa raushni hi raushni hoti jahan mein har taraf gar charaghon ki kiya karti nigahbani hawa hae phir jazbaat 'asi' ko hawa dene lage dil ke dariya mein kahin lae na tughyani hawa