dhoka bhi nahin tha koi unwan bhi nahin tha aise mein jiye jaane ka imkan bhi nahin tha kya jaaniye kya soch ke wan dub gae hum dariya mein to is dam kahin tufan bhi nahin tha aabaad sarabon se sada is ka jahan tha sahra mere dil sa kabhi viran bhi nahin tha ek baat thi ye hum use sochen ki na sochen han is ke siwa masala-e-jaan bhi nahin tha ye jaan ke wo raqs kiya ahl-e-junun ne jo hath laga un ke gareban bhi nahin tha har sans nikalti hai teri yaad mein dubi aur bhul ke jina tujhe aasan bhi nahin tha kuchh phul shagufta mere honton pe saje hain aaina mujhe dekh ke hairan bhi nahin tha phulon ke lahu se ye chaman-zar tha raushan gulshan mein kahin khar-e-mughilan bhi nahin tha hai baat badi jaan meri kaam to aai wo qatl mujhe kar ke pasheman bhi nahin tha in mast nigahon ke ishaaron ko samajhna mushkil bhi nahin tha koi aasan bhi nahin tha duniya ye bhala kyun mere qadmon mein padi hai main is ke liye itna pareshan bhi nahin tha palkon ko sikha dete rah-o-rasm bhi 'khalid' thi hijr ki shab aur charaghan bhi nahin tha